;;apne mann ke deeye jallao,ke bahaar aayee hai.
roothnne waaluon ko mannao, ke bahaar aayee hai.
chiraaghaan keeye hooye hain , teri raah-e-guzzar pe humm,
sarr ke ball chall kar aao, ke bahaar aayee hai.
dekho aaj phool kiss qaddar hassein lag rahe hain,
tabbasum apna unn pe laao, ke bahaar aayee hai.
chaand-taare kiuon gumm ho gaye hain aaj kiraat,
zarra unn ko bisstar pe sajjao, ke bahaar aayee hai.
sharab-o-shabbab ki baat na karo, iss waqqat,
bass dill se dill millao ke bahhar aayee hai.
guzzri baatein aour meri naadaaniyaan bhool jaao,
apni jawaani pe ;;tarrass;; khaao, ke bahaar aayee hai.
surrukh aanchal mein chhuppa hai, surrukh gullab ka cheihra,
ab aour zullam na dhhaao, ke bahaar aayee hai.
jaam-o-paimaane na jaane, aaj kiyuon chhallakk rahe hain,
unn ko houtoun takk laao, ke bahaar aayee hai.
garr manzil ko door samajhtte ho, tou meri baat maano,
chaand-taarroun mein chale aao , ke bahaar aayee hai.
jiss ko zindgi chaahye ;;naaz;;, teri zulaf ke saaye maange,
be0kaar mein waqqat na ganwaao, ke bahaar aayee hai.
==================naaz============-===========