JAATI...HAI....
=====JAATI...HAI=============
shabb-e-hijjar mein, jo tasveer bannaayee jaati hai.
laali khoon ki appni,oss mein millaayee jaati hai.
baad-e-subhaa ke khushboo-daar ,jhhoukke ley kar,
bijjli ;fallaqq; ki, phir oss pe geraayee jaati hai.
shamma roshan rahey,harr haal mein youn yaaro,
bass aag aisi ,oss mein jallaayee jaati hai.
seihraaha mein tapptey reigisstaanoun ki qassamm,dunniya waalo,
jallan jiggar ki,kittne ;aaftaaboun; sey, churaayee jaati hai.
bikhrrey-bikhrrey hussan mein,poonam ki chaandnni ho rawaan,
kuchh iss aabb-o-taabb sey,chinngaari dil-jalloun ko deikhaayee jaati hai.
zour chalta nain hai, shaam-o-saihar pe, kabhi kissi ka bhi,
aaise mousamm mein bhi,shamma nazzar ki, jallaayee bhujhaayee jaati hai.
khulli reihti hain aankhein mei, kiyuon fannaa ke baad,
roz-e-qiyyamatt ko,ikk jhhallakk unn ki deikhlaayee jaati hai.
darriya ki rawaani mein,sheir-geetoun ke bol sunno,
darrad-e-dill ki kassakk, tou harr shaiy mein paayee jaati hai.
churra ke nazzrrein,phainkkte hain, jo phool geirroun pe,
haathoun sey unn ke akkssar,phissal kar khuddaayee jaati hai.
aao kissi pagg-danndi pe saath ho lo, magar kissi ajjnabbi ki tarrah,
aaise dour mein kabhi koi, qeemat nahin laggaayee jaati hai.
anndheirroun mein doob geya tha, shair-e-tammaam , kall,
aaise ; NAAZ; sey, oss ki zullaff, laihraayee jaati hai.
==========naaz============