====T E E N...T E E R ====
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
mohabbat garr kissi zindgi ki zabbaan bann jaaye,
chaltta harr aakhri saanss, bilkul aasaan bann jaaye,
jaan-o-jiggar bhi haazar karo, sannam ko aai dost,
baad-e-sabhaa mein shoukhi bhi, teri maihmmaan bann jaaye..........
-------------------------------------
touheen hai, nasheeli nazzar ki, garr jaam uthaaya,
saaqi ke haathoun ne, kayee baar hai jaadoo dekhaaya,
kahaan khou jaate ho, aai aihl-e-dunniya waalo, zarra sunno,
barrh kar thaam lo ussay, parda jiss ne hai gerraaya.......
-------------------------------
terey labboun pe, chaandni ki pattli lakeer hoti hai,
surrmayee baadlloun mein akkssar, teri ujjli tasveer hoti hai,
larrtey hain kuchh log, mai-daan-e-janng mei, yuon bhi yaaro,
saihtey teer nazzrroun ke, maggar haathoun mein, shammsheer hoti hai......
-----------------------------------------------------------------
====================naaz=============== |