====JYOTI===
--------------------------------------------------------
barsaat ki aik hassein shaam thi shahid,
bhaag rahee thein ,
baadlloun ki tukkriyaan, be-tahaasha,
jaisay be-chain houn,
appne ;;pritamm;; ke leeye,
boujhall hawwa ke khushboo-daar jhhounkey,
'khaamosh fizza mein,
aik tarranamm sa,
jaisey gaa rahey houn,
koi millan ka geet.
aour main khirkki key jharounkon say,
kuchh deikh raha tha,
kuchh souch rahaa tha,
kuchh khouj rahaa tha,
achannik aik lambaa sa saaya,
tha mere qareeb,
;;namasstey--ji;;;,
aik nasswaani aawaaz ne mujhhey chounkka deeya,
darwaazey pe aik khoobsoorat,
jawaan si ladkki,
haath jourey musskrra rahee thi,
nekhri rangatt aour bikhrey baal,
oommar ho gi koi tees[30] saal,
labboun pe ;saleiti; si musskrrahat,
aankhoun mein gullaabi nasha,
be--baak aaddaa,
be--laag hussan,
jaisey barsaat ke baad,
aasmaan pe ;;dat--ranngi;; peeng;,
;; main aap ke saamney waaley flat mein raihti hoon;;,
yuon lagga....
jaisey kissi ne ghoul deeya ho,
kaanoun mein ;;sheid;; ,
yuon lagga....,
jaisey bajj uthey houn...,
beena ke taar,
kamra baasmatti chawwalloun ki,
khushboo sey bharr geya ho,
;; tou...phir...,
mera koara juwaab tha,
woh qaddrey ;;jhhejhhakk si gayee,
;;sunna hai aap ;;kaveeta;; likhtey ho;; ,
;; meri bhi kaveeta likh do;; ,
woh musskarra padee,
aankhein nach-cha kar ,
main ginn raha tha ,
oss key moti jaisey daant,
main ne nazzrein uthaayein,
aik bhar-poor niggah ,
oss pe daali,
peeley rang ki ;;salwaar--kameez;; mein,
aour galley mein laih-raata,
reishmmi duppatta,
aankhoun mein kaajal ki,
aik pattli si lakeer,
woh be-hadd hassein lagg rahee thi,
jaisey kheitoun mein,
sarssoun key phool,
oss ne appni ;peishaani par,
padi ;;litt;; ko,
badi laaparwaayee sey,
jhhattakk deeya,
yuon lagga ,
jaisey chaand nikkal aaya ho,
kamrra roshni mein ;;nahha;; geya ho,
woh mere qareeb aagayee,
;;likho gey na aap...?? ;;
woh phir sawaal kar baithi,
;; haan--haan jarroor likhoun ga...
;;maggar tummhein kaveeta ki kya zarroorat,
;;main ne taaltey hooye kahaa,
;;tumm kal aana---aaj mujhhey kaam hai..;;
woh hanns padi,
kammrey mein ;hanssi; ka fowwaara chhoot pada,
;;main kal nahin aa sakti,
woh aour qareeb aachukki thi,
main qaddrey preshaan sa ho geya,
;;achha theek hai;; ,
main ne ;;hatheyaar;; daal deeye,
;;tumm kursi pe baith jaao...;;
;;haan keya naam hai tumhaara..;;
;;; j y o t i ;;....
woh kursi pe baith chukki thi,
aour main kursey sey ;uchhall;; pada,,
;;jyoti.....jyoti...;;,
mere mooh sey be--sakhtta nikkar geya..,
main jyoti ko kaisey,
roshni de sakta hoon,
main jyoti ko kaisey,
appni ;;qallam;; ki noukk pe rakh sakta hoon,
woh tou khudd ;;jyoti;; hai....
aour main..... main souchney lagga.....
ussey ;;deepak;; chaheeye,
main ;;kalppna;; sey door nikkal chukka tha...
;;achha main chalti hoon ;;....
;;meri ;;bachi;; ro rahi ho gi;;.......
yuon lagga .
jaisey kissi ne ,
mere kaanoun mein ,
garram--garram....seesa andeil deeya ho...
pall--do-pall ke leeye main ;;saakan;; ho geya,
oss ki aik ladki bhi hai..??
aou oss ki ;;maang;; bhi sooni....??
jyoti jaa chukki thi,
saara mahoul so chukka tha,
mera zameer jaag pada....,
jyoti roz aati.......,
apne saath ;;sarssoun;; ke phool laati,
;;indra-gaandi;; ki baatein kartein..,
apne zammane ki baatein karti...,
apni ;;shaadi ;; ki baatein karti..,
apni;;mummy--paapa;; ke baare kaihti...,
kabhi--kabhi yaadoun ke jhooley mein,
jhoolti--jhoolti door nikkal jaati,
jyoti ki aankhoun mein,
aik ajeeb si ;kashash; hoti,
ajeeb si kash-m-kash raihti,
oss ke ;;labboun;; pe,
be-shummar suhaag ke,
adhoorey geet hotey,
piyaasey saagar ki tarrah.....
piyaasi dharrti ki tarrah....
jyoti ki kaveeta....
aaj bhi adhoori hai...
meri adhoori zindgi ki tarrah...,
meri adhoori mohabbat ki tarrah.......
meri adhoori ;;aarrzzoo;; ki tarrah.....
meri adhoori ;;jasstt-joo ki tarrah...
jyoti aaj bhi mere ;;errad-gerrad..
saaye ki tarrah saath--saath hai...
keya kabhi oss ki kaveeta mukkammal ho gi..???
keya kabhi ossey koi ;;deepak;; melley ga...??
jo oss ki choukhatt pe aa ke...
oss ketammaam aansoo pee ke..
oss ki khushak--reishmmi..
zzullffoun ko sanwaare ga...
oss ke dil ki..
ujjrri basti ko shingaare ga..
jyoti...woh deikho....
sooraj doob rahaa hai...
woh appni laali chhour rahaa hai...
yeih ;;laali;; oss ki ho sakkti hai..,
maggar keya yeih laali...
oss ki ;;sooni;; maang mein ;;sajj;; sakti hai..??
jyoti tou aik qeemti ; heera hai..
jyoti tou saagar mein roshni ka meennaar hai..
jo harr mussafar ko raah deikhati hai...
maggar khudd bhattakk chukki hai..
jyoti ko piyaar chaheeye.
jyoti ko sat-kaar chaheeye..
ussat na jeet chaheeye...
na haar chaheeye..
jyoti ko oonchi parwaaz chaheeye..
jyoti ko khushiyoun ka saaz chaheeye..
ussay piyaar ka ;;taaj;; chaheeye..
ussay kissi ka ;;raaz;; chaheeye..
jyoti ki kaveeta ...aaj bhi adhoori hai..
saaqi ke jaam ki tarrah...
sarssoun ke phoolloun ki tarrah..
meri zindgi ki tarrah..
merimohabbat ki tarrah..
meri piyaas ki tarrah..
jyoti ko kall nahin...
jyoti ko aaj chaaheeye..
jyoti ko bass ;;naaz;; chaaheeye ...
jyoti ko bass ;;naaz;; chaheeye...
woh bhi kissi ka..............................
---------------------------------------------------
============naaz====================== |