====ZINDGGEE===
-----------------------------------
na chaandni raat,
na bahaar aaye kabhi,
na phool khelley,
na bull-bulloun ne geet gaaye kabhi,
aarzooein mitt gaeiyein,
tamman-naaeiyein adhoori raih gayeein,
aour zindgi youn -hee beetti gayee,
maggar too na bann sakki meri kabhi.
-----------------------------------
kaih-kashaan ke neechey,
ik phool khella,
raahee musskaaya,
phool sharmaaya,
do haath barrhey,
do gaam challey,
do dil dhadkey,
do labb helley,
do jaam banney ,
do nain milley,
do baatein hooyee ,
do mulla-kaattein hooyee,
aour zindgi yuon -hee beet-ti gayee,
maggar too na bann sakki meri kabhi.....
-------------------------------------------------
=========naaz================== |