==SHOUQQ--JAWAANI=
--------------------------------------------------------------------
deir laggi aane mein tumm ko,
phir bhi aaye tou.
aas ne dil ka saath na chhoda,
waisey hamm ghabbraaye tou.
chaandni raqqass zullaff labb,
rukhsaar sheir-o-sharaab,
iss daaman mein kya-kya kuchh hai,
daamann haath mein aaye tou.
chaahat ke baddley beich di hamm ne,
appni bhi russwaayee deikho,
koi milley tou dil ka ;gaahaqq;,
koi hammein appnaaye tou.
parda-nasheen ik ;suwaab; hai leikin,
garr nazzar aa jaaye ;id; ka chaand,
haaye koi anjaan mussafir,
woh iss dhoukhey mein aa jaaye tou.
sunni-sunnaayee baat nahin hai,
yeih appne oopar beeti hai yaaro,
phool barssey hain shoulloun say,
chaahatt aag laggaye tou.
mouqa bhi,mousam bhi,wahda bhi,
rassam bhi,dasstoor bhi tha leikin,
beech bhanwwar mein kashti appni,
kinnaare takk koi laaye tou.
;gull kabhi,shamma kabhi,maiy kabhi,
gaisoo kabhi,aaftaab kabhi,chaand kabhi kaihte rahey,
kittne naam hain uss ke yaaro,
kissi naam say woh sharmaaye tou.
deikho jhoott hai woh sabb,
ke taareekh appne aap ko dohraati hai,
achha chalo,maana mera ;shouqq-e-jawaani,
phir say lout aaye tou,
naadaani aour majboori mein logo,
abb tou kuchh farraqq samjhho,
bhaari naaz uthaaney parr,
toot key dill bekharr jaaye tou........
----------------------------------------------
==========naaz============
piyaare dosto ..appne vichaar likhna..
oberoinaaz@yahoo.com
|